nae har roz hote hadse achchhe nahin lagte bahut haalat bhi sahme hue achchhe nahin lagte muhafiz hai tera daman bahut hi khun mein aalud magar ye dagh daman par tere achchhe nahin lagte faqat amn-o-aman ki baat ho to achchha lagta hai dilon mein khauf dahshat waswase achchhe nahin lagte qadam pichhla uthaega tabhi aage badhega tu shikasta dil shikasta hausle achchhe nahin lagte ziyaada jaante hain jo ziyaada chup hi rahte hain agar hum bhi ziyaada bolte achchhe nahin lagte chalo mil kar rahen jab phul ek dali ke hain donon gulon ke darmiyan ye fasle achchhe nahin lagte amiri aur gharibi dekh kar ye faisle karna amir-e-shahr tere faisle achchhe nahin lagte tumhein aawaz deta hun chale aao jahan ho tum tumhaare hijr mein ab ratjage achchhe nahin lagte nasihat aur hikayat hai nai naslon ki hi khatir purane daur ke ab falsafe achchhe nahin lagte kabhi barish kabhi garmi kabhi sardi zaruri hai kisi ko 'sad' mausam ek se achchhe nahin lagte