girte ubharte dubte dhaare se kat gaya dariya simat ke apne kinare se kat gaya mausam ke sard-o-garm ishaare se kat gaya zakhmi wajud waqt ke dhaare se kat gaya kya farq us ko jad se ukhada gaya jise tukde kiya tabar ne ki aare se kat gaya tanhai ham-kanar hai sahra ki raat-bhar kaise main apne chand sitare se kat gaya chalta hai apne panw pe ab aan-ban se achchha hua wo jhute sahaare se kat gaya diwaren unchi hoti gain aas-pas ki ghar mera pesh-o-pas ke nazare se kat gaya nikla tha ek qadam hi had-e-ehtiyat se shoalon se bachne wala sharare se kat gaya aata nahin yaqin ki nazar us ne pher li kaise wo apne dard ke mare se kat gaya