yahan kise hansne ki fursat rakkhi hai ek se nimto dusri aafat rakkhi hai har jaanib ek khel hai aapa-dhapi ka manzar manzar kaisi wahshat rakkhi hai sochun to bazar bhi chhota lagta hai ghar ke andar itni zarurat rakkhi hai tere dil ko pyar se mala-mal kare phul ke andar jis ne nikhat rakkhi hai ek ke dukh mein sare roya karte hain ghar mein abhi ajdad ki daulat rakkhi hai