hain meri qabr pe wo jalwa-numa mere baad

hain meri qabr pe wo jalwa-numa mere baad
ishq ka mere asar un pe hua mere baad

aur kuchh der mere gham ki kahani sun lo
warna phir kaun karega ye gila mere baad

dekh us gul ko kisi ghair ka dena na payam
main kahe deta hun ai baad-e-saba mere baad

kyon na khush hun ki gham-e-hijr se mar kar chhuta
ab jo aaen bhi to phir lutf hai kya mere baad

aur kuchh gham nahin gham hai to isi ka gham hai
lash par meri karenge wo buka mere baad

un se kah de ye koi ja ke payam-e-'shaida'
dhyan rakhna mera ai mah-laqa mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close