go hun wahshi pa tere dar se na tal jaunga han magar dasht-e-adam hi ko nikal jaunga tair-e-nama-bar apna yahi kahta hai ki aah raqam-e-shauq ki garmi se main jal jaunga jald ai kash jatawe use joban us ka phir ho kis kaam ke tum jab ki main dhal jaunga aaj go us ne ba-ruswai nikala mujh ko gar yahi dil hai to phir aap se kal jaunga mashwara kar ke ye dil kucha-e-jaanan ko chala azm to lane ka kijo main machal jaunga gar yahi aatish-e-ulfat hai to manind-e-sipand aah mein mujmir hasti se uchhal jaunga nau-giraftar-e-mohabbat hun meri waza se tum itna ghabrao na pyare main sambhal jaunga wae qismat kahe jab sabr sa munis ye baat tujh pe dekhunga bura waqt to tal jaunga jald khu apni badal warna koi kar ke tilism aa ke dil apna tere dil se badal jaunga ji kahin tu na phansa warna tere dam se main aab-e-ghirbaal ki manind nikal jaunga jun hina apne wo qadmon se na lagne denge is tamanna mein agar khak mein ral jaunga jate jate kaf-e-afsos isi hasrat mein ashk bhar la ke dam-e-naza bhi mal jaunga jin ke nazdik hai andaz-e-ghazal 'mir' pe khatm un ko 'jurat' main sunane ye ghazal jaunga