suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to nikal aaen aansu kaleja pakad lo karun arz apni kahani kaho to tumhein rang-e-mai shaikh marghub kya hai gulabi ho ya zafrani kaho to pilae koi saqi-e-hur-paikar musaffa kashida purani kaho to tamanna-e-didar hai hasrat-e-dil ki tum jalwa-farma ho main aankhen sekun na kah dena musa se jaise kaha tha meri arz par lan-tarani kaho to wafa-pesha aashiq nahin dekha tum ne mujhe dekh lo jaanch lo aazma lo tumhaare ishaare pe qurban kar dun abhi maya-e-zindagani kaho to kahan main kahan dastan ka taqaza mere zabt-e-dard-e-nihan ka hai kahna phir us par ye takid bhi hai barabar na kahna purani kahani kaho to mere nama-e-shauq ki satr mein hai jagah ek jo sada wo mohmal nahin hai main ho jaun khidmat mein hazir abhi khud batane ko is ke maani kaho to