go siyah-baKHt hun par yar lubha leta hai

go siyah-bakht hun par yar lubha leta hai
shakl saya ke mujhe sath laga leta hai

go mulaqat nahin aalam-e-bedari mein
khwab mein par wo hamein sath sula leta hai

ashk ko tuk bun-e-mizhgan mein thaharne de dila
ye tera dekh to han dekh to kya leta hai

rahi-e-mulk-e-adam se na kar itni kawish
dam musafir ye tah-e-nakhl zara leta hai

shisha-e-dil mein mere tere khayal-e-khat se
aa gaya baal hai to mol use kya leta hai

ye masal ai but-e-mai-nosh suni hai ki nahin
le hai bartan jo koi us ko baja leta hai

tu wo hai nam-e-khuda ai but-e-kafir ki tere
zahid-e-gosha-nashin bhi qadam aa leta hai

dil pe talwar si kuchh lagti hai jab ghair ko tu
pas abru ke ishaare se bula leta hai

kyun na phule dil-e-sad-chaak hamara yaro
gul samajh kar wo use sar pe chadha leta hai

mauj-e-dariya to kab atkheli se yun chalti hai
par teri kabk-e-dari chaal uda leta hai

zulf-e-mushkin ko na chhed us ki dila man kaha
apne kyun sar pe bala ahl-e-khata leta hai

huk si uthti hai kuchh dil mein mere aah 'nasir'
jab wo pahlu mein raqibon ko bitha leta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close