khizan mein bhi bahaar-e-jawedan malum hoti hai jawani ho to phir har shai jawan malum hoti hai yahan malum hoti hai wahan malum hoti hai khalish dil ki kahan hai aur kahan malum hoti hai jafa un ki wafa meri wafa meri jafa un ki mohabbat dastan-dar-dastan malum hoti hai asiran-e-qafas hain hum se puchho qadr-e-azadi ki ab bijli bhi shakh-e-ashiyan malum hoti hai ye mana ishq mein sabr o sukun se kuchh nahin hasil magar aah-o-fughan bhi raegan malum hoti hai payam-e-ishq dete hain wo jab nazron hi nazron mein wo ek saat hayat-e-jawedan malum hoti hai latafat ishq ki hai mana-e-nazzara-e-surat mohabbat khud hijab-e-darmiyan malum hoti hai badi mushkil se samjhe hain shahid-e-ishq ka mansab 'sahar' ab zindagi bar-e-giran malum hoti hai