go wasia sahra mein ek haqir zarra hun rah-rawi mein sarsar hun raqs mein bagula hun har samudr-manthan se zahr hi nikalta hai main ye zahr jiwan ka hans ke pi bhi sakta hun ye bhari-puri dharti ek anant mela hai aur sare mele mein jaise main akela hun yun to phul phabta hai har hasin jode par jis ne chun liya mujh ko main usi ka bela hun kal har ek jalwe mein lakh jalwe paida the main ki tha tamashai aaj khud tamasha hun zindagi ke raston par zakhm-khurda diwana kah raha tha 'zaidi' se main bhi aap jaisa hun