goshe badal badal ke har ek raat kaT di

goshe badal badal ke har ek raat kat di
kachche makan mein ab ke bhi barsat kat di

wo sar bhi kat deta to hota na kuchh malal
afsos ye hai us ne meri baat kat di

dil bhi lahuluhan hai aankhen bhi hain udas
shayad ana ne shah-rag-e-jazbaat kat di

jab bhi hamein charagh mayassar na aa saka
suraj ke zikr se shab-e-zulmat kat di

jadugari ka khel adhura hi rah gaya
darwesh ne shabih-e-tilismat kat di

haalanki hum mile the badi muddaton ke baad
auqat ki kami ne mulaqat kat di

thandi hawaen mahki faza narm chandni
shab to bas ek thi jo tere sat kat di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close