le lunga jaan de ke mohabbat jahan mile kuchh din mein shayad aur ye sauda garan mile ai karwan-e-ishq-o-wafa ke musafiro kahna mera salam bhi manzil jahan mile hamwar kar mizaj bahaar-o-khizan se dil mumkin nahin mizaj-e-bahaar-o-khizan mile ye manzilat bhi hissa-e-dushman mein aae kyun hum sar na phod len jo tera aastan mile pahle hi se dilon ke na milne ka dhang tha jis mod par mile hain wo daman-kashan mile main ne kiya hai ek hi unwan se khitab kis kis ke rup mein na mere mehrban mile kyun jae 'najm' aisi faza chhod kar kahin rahne ko jis ke gulshan-e-hindostan mile