jo honi thi wo ham-nashin ho chuki mere muddaa par nahin ho chuki bura ho meri na-tawani tera nigah-e-dam-e-wapsin ho chuki umid-e-karam kuchh na saqi se rakh ki ab wo mai-e-satgin ho chuki sunaun agar ta-qayamat to kya kahani meri dil-nashin ho chuki karun kis tarah ab main arz-e-niyaz ki baqi hai dar aur jabin ho chuki tarawish kahan zakhm-e-dil mein wo ab kahin kuchh rahi hai kahin ho chuki bas ab hath se rakh do 'shaida' qalam tumhaari ghazal ki zamin ho chuki