kar gai gul-tab rangon ki farawani hamein nur sa rang de gaya shauq-e-ghazal-rani hamein daman-e-dil be-zamiri se bacha pae na hum lag gaya aakhir ko shahr-e-ghair ka pani hamein muft mein baithe bithae sari duniya dekh li mil na pai thi kabhi aisi tan-asani hamein khud-pasandi dekhi teri khud-sari bhi dekh li aur kya dikhlaega ai dushman-e-jaani hamein teri marzi ho to chakh len apni marzi ka maza zindagi kar lene de thodi si man-mani hamein zindagi par band ho kar rah gae hain raste kis jagah le aai hai is dil ki man-mani hamein bawajud is ke parayon ke na dil thande hue be-tarah mahngi padi apnon ki qurbani hamein yun to ghar wale bulaya karte hain abdul-hasib waise duniya kahti hai 'parwez'-rahmani hamein