thin nasim-o-saba tak gawara narm raftar o sada hawaen band kije dariche sukhan ke ab hain had se ziyaada hawaen sham-e-khas-khana bhi bujhte bujhte lakhon shoalon ki khaliq banegi be-zarurat agar odh lengi aandhiyon ka labaada hawaen yaad hai bagh-e-be-ghuncha-o-gul shakh-e-be-tair-o-ashiyana ghaaliban phir unhin shorishon ka kar rahi hain iada hawaen subh-dam be-sabab to nahin hai wadi-e-gul pe ye rang-pashi kharzaron mein bhatki hain shayad raat-bhar pa-piyaada hawaen nur-o-zulmat ki is kashmakash mein hai giraftar-e-zauq-e-tajassus marhala marhala manda shamen tez-rau jada jada hawaen