jab bhi mere aansu bahte hain aur tera daman jalta hai dekh ke apna husn-e-talluq har ahl-e-gulshan jalta hai raaz na puchho mustaqbil ka sher-o-sukhan ki is mahfil ka sahab-e-fan zulmat mein pade hain dur charagh-e-fan jalta hai fasl-e-bahaaran aa jaane se kam na hua gham ahl-e-chaman ka shabnam ke aansu bahte hain gul ka pairahan jalta hai jalne ko to sab jalte hain aag juda hai apni apni hum jalte hain tum jalte ho ek ek ahl-e-chaman jalta hai koi nahin gham-khwar jahan mein 'yaad' hamari tanhai ka apne hi aansu bahte hain apna hi daman jalta hai