kuchh mukaddar sa sar-e-baalin tujhe pata hun main le charagh-e-subh se pahle bujha jata hun main kushta-e-gham ko dam-e-isa to zinda kar chuka lijiye ab un ke daman ki hawa lata hun main jis qadar pamal karte hain wo rah-e-ishq mein surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa aur ubhar aata hun main shama ne khinche wo taswir-e-maal-e-zindagi har nasim-e-subh ke jhonke pe tharraata hun main mai-kada bilkul haqiqat hai haram sirf e'tiqad mohtasib ab dekhna ye hai kidhar jata hun main subh-dam kuchh is tarah dil gosh-bar-awaz tha jab kisi ghunche ne chutki li kaha aata hun main ab khuda malum dil hai kis maqam-e-ishq par wo jafaon par jafa karte hain sharmata hun main dekhiye kab ho mayassar ishrat-e-sahil mujhe zindagi ek qulzum-e-gham hai baha jata hun main mohtasib khauf-e-shikast-e-saghar-e-rangin na puchh jab koi ghuncha chatakta hai laraz jata hun main kushtagan-e-yas ko ai 'faiz' paigham-e-hayat barbat-e-dil par ba-tarz-e-nau ghazal gata hun main