gul milenge yahan par har ek rang ke aap aaen mere gulsitan ki taraf bu-e-ulfat isi ki bahaaron mein hain log jaen to jaen khizan ki taraf ye meri anjuman hai yahan kuchh nahin juz haqiqat yahan par bayan kuchh nahin aao samjho mere qalb ka muddaa sirf jao na meri zaban ki taraf sar jhukane se inkar kab hai mujhe bahr-e-masjud pas-e-adab hai mujhe sajda-e-shukr bhi kufr ho jaega dil jo mail hai husn-e-butan ki taraf aql se mawara hai maqam-e-junun sab hi ahl-e-khirad hain yahan sar-nigun chalte chalte yahan karwan ruk gaya manzilen khud badhin karwan ki taraf jab zaban kholiye soch kar boliye apne har lafz ko aql par toliye tir 'asi' kaman se jo chhut kar gaya phir wo aata nahin hai kaman ki taraf