tarikiyon ka sang har ek rahguzar mein rakh phir azm ka charagh meri chashm-e-tar mein rakh lene de jaeza use khud apni ruh ka tu fikr-o-fan ka nur niga-e-bashar mein rakh lamhon ki udti gard jahan dhund le panah kuchh aisa naqsh waqt ke diwar-o-dar mein rakh daman ko raat bhar mein siyahi se bhar liya yaadon ki dhund ko zara dast-e-sahar mein rakh logon ki sang-bar nigahen na tod den chehra hai kanch ka ise patthar ke ghar mein rakh hai shor-o-ghul mein raunaq-e-bazm-e-tarab nihan khamoshiyon ke bahr ko tu apne ghar mein rakh