haal par mere ai naseh-e-mohtaram aap ko kam se kam sochna chahiye mere pahlu mein dil dil mein furqat ka gham aap ko kam se kam sochna chahiye dil ko tark-e-talluq to manzur hai ye magar koshish-e-zabt se dur hai mujh pe karne se pahle ye taza sitam aap ko kam se kam sochna chahiye khud usulon ka apne parastar hun bahami tafraqon se main bezar hun rind-mashrab hun main ahl-e-dair-o-haram aap ko kam se kam sochna chahiye yun na zulfon ko shanon pe bikhraiye in ko suljhaiye in ko suljhaiye jaan lenge kisi ki ye zulfon ke kham aap ko kam se kam sochna chahiye yun kinare pe lije na angdaiyan yun nahati hain pani mein parchhaiyan is kinare pe hairat-zada se hain hum aap ko kam se kam sochna chahiye aaj waqt-e-sahar aur ba-waqt-e-azan mai-kade ki taraf ja rahe ho kahan keh rahe hain ye sab 'asi'-e-mohtaram aap ko kam se kam sochna chahiye