hai aisa waqt ki khud par karam kiya jae zaruraton ko zara apni kam kiya jae ho apni aankhon mein har-dam wo ek hi chehra so apni aankhon pe aisa hi dam kiya jae qubuliyat ka sabab ek ye bhi ho shayad dua ke waqt mein aankhon ko nam kiya jae wo sath chhod gaya to malal kya is ka bichhad gaya jo kahin us ka gham kiya jae kiya hai hum ne zamane ka ehtiram bahut kuchh apni zat ko ab mohtaram kiya jae ye dastan-e-mohabbat to khub hai 'faruq' koi fasana lahu se raqam kiya jae