itna to irtibaat ho us sang-e-dar ke sath jhuk jae kaenat bhi sajde mein sar ke sath ehsan-e-ghair aur rah-e-manzil-e-habib hai nang-e-justuju jo chalun rahbar ke sath wo zarra-ha-e-dil bhi bade khush-nasib hain wabasta ho gae jo teri rahguzar ke sath manzil ki fikr kya hai ki ai rah-naward-e-shauq manzil to har qadam pe hai azm-e-safar ke sath dekha kiye hain khub nasheb-o-faraaz-e-dahr khela kiye hain fitna-e-sham-o-sahar ke sath ghairat ka hai maqam gareban ke waste daman ne jo suluk kiya chashm-e-tar ke sath guzre hain hum pe ishq mein aise bhi hadse ek rabt-e-khas hai jinhen teri nazar ke sath 'jauhar' hujum-e-shauq mein itna to tum na ho apni khabar bhi chahiye un ki khabar ke sath