gul-posh baam-o-dar hain magar ghar mein kuchh nahin ye sab nazar ka nur hai manzar mein kuchh nahin maujon ka iztirab ho ya gauhar-e-hayat ehsas ka fusun hai samundar mein kuchh nahin parchhaiyon ka nach hai viran sahn mein aaseb-e-shab hai aur mere ghar mein kuchh nahin manzil se be-niyaz chale ja rahe hain log bhatke huon ki aankh ke patthar mein kuchh nahin din raat jhankta hai darichon se zehn ke afkar ka jamal hai paikar mein kuchh nahin 'zauqi' gali gali mein hain takiye fareb ke aghraaz ki sada hai qalandar mein kuchh nahin