gulon ka rang tapish khushbuen samundar khinch kuchh is tarah se meri aarzu ka paikar khinch nikal hi jae na dam apna aah-e-sozan se zaban pe lafz to rakh is tarah na tewar khinch atak raha hai mera dam nikal na paega sitam-shiar jigar se mere ye khanjar khinch mahaz-e-jang pe teri shikast aakhir hai hisar kar le khud apna tamam lashkar khinch kai sitare khinche aaenge salami ko tu is jagah se zara hat ke apna mehwar khinch tujhe to khinch na pai hayat ki 'farhat' jo tujh se ho sake ye zindagi ka patthar khinch