kuchh sukun paun jo is sahn-e-makan se chhutun phir naya ek safar ho main jahan se chhutun sare ehsas se har sud-o-ziyan se chhutun ho ke khamosh gunahan-e-bayan se chhutun tund-khu tazi-e-be-bak khiraman ki qasam kash raftar-o-ram-o-rakhsh-e-rawan se chhutun muzmahil ho ke thaharne nahin deti surat kash aazad ho tausan ki inan se chhutun zikr kuchh dil ka na kuchh baat tamannaon ki khushk aankhen hon main iza-e-fughan se chhutun raqs ho aatish-e-sayyal ka aur khak hun main gardish-e-sham-o-sahar dahar-o-zaman se chhutun taer-e-ruh har ek gosha-e-jaan dekhta hai jism se jaan se kis dar se kahan se chhutun chhutun 'farhat' se aziyyat se sukun se gham se na-tawani se sahi tab-o-tawan se chhutun