jashn hum yun bhi manaen der tak aaj ki shab khud se uljhen der tak sathiyon mein jab farasat hi nahin ek paheli kya bujhaen der tak guftugu ka ek tariqa ye bhi hai aao hum khamosh baithen der tak ye tumhaare zulm ki tauhin hai shahr mein chikhen na gunjen der tak raat ki banhen hamein bhinche rahin aur phir hum khud ko sochen der tak hum khud apne khwab ki tabir hain aaina phir kyun na dekhen der tak rah-giron ke liye phaili rahin budhe bargad teri shakhen der tak