gulon ke sho’la-sifat manzaron mein chhup sa gaya

gulon ke sho’la-sifat manzaron mein chhup sa gaya
wo dubla-patla badan khushbuon mein chhup sa gaya

suhane khwabon ka ek shahr sham hote hi
jale charagh to parchhaiyon mein chhup sa gaya

gale laga raha zulmat ke raat-bhar koi
sahar hui to khule bazuon mein chhup sa gaya

na jaane kaun se dariya se ja milin lahren
lahu ka shor phadakti ragon mein chhup sa gaya

kisi ke naqsh-e-kaf-e-pa dikhai kya dete
wo sang-e-mil hi jab raston mein chhup sa gaya

gali mein ret ke aangan ka kuchh pata na chala
bagula udte hue kaghazon mein chhup sa gaya

karahte hue lamhon ko chhod kar ai 'shad'
kisi ki chah ka din parbaton mein chhup sa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close