rang laenge mere dida-e-nam id ke din khun rulaenge tujhe bhi ye sanam id ke din teri furqat mein sanam teri qasam id ke din kuchh rulaega mujhe bhi tera gham id ke din dil ki duniya mein masarrat ki bahaaren aaen ghar mein rakh den jo mere aap qadam id ke din husn aur ishq ki takrar habab-e-dariya barhami chhod ke ho jaen baham id ke din ab ke bachchon ke khilaune hain na jhule mela daman-e-dil hua jata hai yun nam id ke din pas jis ke nahin duniya ki koi chiz ai 'shad' us ki aahon ka khuda rakkhe bharam id ke din