samt-e-girdab badha hun main pawan ke manind mauj-dar-mauj samandar hai shikan ke manind chhupne wala koi baghon mein dikhai na diya khushbuen udti rahin bu-e-badan ke manind dhund mein lipte hue aise bhi chehre dekhe sham' ki lau mein utarte hain kiran ke manind phenk do mujh ko andheron ki lahad mein yaro chandni phail gai rang-e-kafan ke manind ab bhi chha jata hai yaadon ki suhani rut mein tera ehsas dimaghon pe thakan ke manind 'shad' matiyale jaziron se guzarte honge ye bagule bhi ghazalan-e-khutan ke manind