gulon ke sho’la-sifat manzaron mein chhup sa gaya wo dubla-patla badan khushbuon mein chhup sa gaya suhane khwabon ka ek shahr sham hote hi jale charagh to parchhaiyon mein chhup sa gaya gale laga raha zulmat ke raat-bhar koi sahar hui to khule bazuon mein chhup sa gaya na jaane kaun se dariya se ja milin lahren lahu ka shor phadakti ragon mein chhup sa gaya kisi ke naqsh-e-kaf-e-pa dikhai kya dete wo sang-e-mil hi jab raston mein chhup sa gaya gali mein ret ke aangan ka kuchh pata na chala bagula udte hue kaghazon mein chhup sa gaya karahte hue lamhon ko chhod kar ai 'shad' kisi ki chah ka din parbaton mein chhup sa gaya