jab ek gul-ezar ki sohbat mein aa gaya aariz ka rang meri tabiat mein aa gaya apni raza se jis ne marasim badhae the arz-e-talab pe wo bhi nazakat mein aa gaya ji ke zarar ko kaun uthata hai aaj-kal is dil ko dad de ki mohabbat mein aa gaya phirta hun dahr mein liye ye dosti ka hath lagta hai main bhi ku-e-malamat mein aa gaya be-dil se ek kar ke wafa yun laga mujhe ye hath ek machine ki khidmat mein aa gaya