gulon mein rang kahan hai tere badan ki tarah tera badan hai sitaron ki anjuman ki tarah wahi jo log the aawara be-watan ki tarah unhin ke dam se bayaban hua chaman ki tarah ye hai fareb-e-nazar ya bahaar ka mausam saja hua hai gulistan mera dulhan ki tarah junun-e-shauq mera kaamyab ho hi gaya lage hai mujh ko bayaban bhi ab chaman ki tarah wo zindagi to nahin zindagi ka matam hai jo zindagi ho watan hi mein be-watan ki tarah shab-e-firaq hai gham hai khalish hai aansu hai meri hayat hai tanha bhi anjuman ki tarah jahan bhi main ne qadam apna rakh diya 'mukhtar' mahak uthe wahin kante bhi nastaran ki tarah