kisi ki aarzuen ab bhi hum mein raqs karti hain sunahri machhliyan aquarium mein raqs karti hain koi tufan daba pata nahin dil ki sadaon ko ye jal-pariyan to aab-e-yam-ba-yam mein raqs karti hain hamari ulfaton ko aap ne halka nahin lena ba rang-e-hast bhi khwab-e-adam mein raqs karti hain ye paighamat pahunchati hain tum tak mere maula ke agar chidiyan tumhaare aashram mein raqs karti hain main un par chal ke bhi kyon manzilon ka ho nahin paya jo rahen zindagi ke pech-o-kham mein raqs karti hain teri yaaden to jaise ban gai hain dhadkanen pyare ye raqqasaen bhi dil ke haram mein raqs karti hain niyam-e-maslahat mein rah ke jin ko zang lagta hai wahi talwaren lahraate alam mein raqs karti hain umiden sina-e-khanjar pe chal kar bhi nahin ruktin ye hasrat ban ke bhi jaise iram mein raqs karti hain tumhaare hijr ki ghazlen tumhaare wasl ki nazmen dilon mein thartharaati hain qalam mein raqs karti hain