hansi gulon mein sitaron mein raushni na mili mile na tum to kahin bhi hamein khushi na mili na chand mein na shafaq mein na lala-o-gul mein jo aap mein hai kahin bhi wo dilkashi na mili nigah lutf ki hai muntazir meri shab-e-gham sitare dub chale aur raushni na mili hamin ko saunp diye kul jahan ke ranj-o-alam kisi mein aur hamari si dil-dahi na mili nigah-e-dost ne bakhshi jo dil ko mad-hoshi sharab-o-jam se hum ko wo be-khudi na mili har ek nashat mein pinhan mila nashat ka gham jo aish se ho basar aisi zindagi na mili mere khayal mein hain ye tajalliyan kis ki andheri raat mein bhi mujh ko tirgi na mili wahi faza wahi gulshan wahi hawa hai magar mili jo gul ko wo kharon ko zindagi na mili gila karenge na ab mere baad ke rahraw ki un ko rah-e-mohabbat mein raushni na mili hazar bar hua khun-e-arzu lekin kabhi kisi ko meri aankh mein nami na mili jo chhedti mere betab dil ke taron ko kisi bhi saz mein darshan wo naghmagi na mili