gulon pe saya-e-gham-ha-e-rozgar mile bhari bahaar ke chehre bhi sogwar mile saja de un ke gareban ko mah o anjum se hamare dast-e-junun ko jo ikhtiyar mile hazar dagh utha kar chaman khilati hai kahin zamin ko jo ahl-e-zamin ka pyar mile hamare pas hai kya daulat-e-junun ke siwa nisar chaak gareban agar bahaar mile ye waqia hai ki naseh ki zid mein baat badhi jo ek bar na milte wo bar-bar mile mizha ke ashk tamanna ke zakhm yaad ke phul kai charagh sar-e-sham-e-intizar mile sahar se dair o haram par jo bahas karte hain wo mai-kade mein sar-e-sham ham-kanar mile hum apne chehra-e-fan ka nikhaar kya dekhen ki aaine bhi to aaluda-e-ghubar mile sunin to aabla-pai ki dastan lekin kahan 'shamim' sa aashufta-e-bahaar mile