sarhad-e-fana tak bhi tirgi nahin aai yun bhi ras andheron ki zindagi nahin aai tum sharab pi kar bhi hosh-mand rahte ho jaane kyun mujhe aisi mai-kashi nahin aai jis ki bhi tabahi ho kuchh asar to rakhti hai aaj meri haalat par kyun hansi nahin aai aur bhi darakhshan ho ai mere nae suraj ab bhi mere aangan mein raushni nahin aai rahrawan-e-danish ki zindagi batati hai kaam kin manazil mein aagahi nahin aai log chaar hi din mein ban gae 'salam' ai dil aur khud mujhe ab tak shaeri nahin aai