gulshan-e-dil mein mile aql ke sahra mein mile

gulshan-e-dil mein mile aql ke sahra mein mile
jo bhi milna hai mile aur isi duniya mein mile

barhami anjuman-e-shauq ki kya puchhte ho
dost bichhde hue akasr saf-e-ada mein mile

aane walon ne mere baad gawahi di hai
kai gulzar mere naqsh-e-kaf-e-pa mein mile

yun bhi guzri hai ki chhae rahe bedari par
nind aai to wo gham khwab ki duniya mein mile

nahin malum ki kya dekhne aae the udhar
be-ajar log bahut shahr-e-tamasha mein mile

phir umidon ne yahin gad diye hain kheme
rang kuchh udte hue daman-e-sahra mein mile

faslon se na mere shauq ki manzil napo
shash-jihat said mere dam-e-tamanna mein mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close