gulshan ko bahaaron ne is tarah nawaza hai har shakh ke kandhe par kaliyon ka janaza hai kis tarah bhulaen hum is shahr ke hangame har dard abhi baqi hai har zakhm abhi taza hai masti bhi umiden bhi hasrat bhi udasi bhi mujh ko teri aankhon ne har tarah nawaza hai mitti ki tarah ek din ud jaega rahon se sab shor machate hain jab tak lahu taza hai ye rakh makanon ki zaya na karo 'saghar' ye ahl-e-siyasat ke rukhsar ka ghaza hai