gulshan mein bade zor ka tufan utha hai jab bhi koi phulon ka nigahban utha hai duniya ke badalne ka farishte nahin aae jab jab bhi utha hai koi insan utha hai sine ke liye daman-e-gul fasl-e-khizan mein har bar koi chaak-gareban utha hai main is ke siwa kuchh nahin kahta mere saqi 'shaarib' teri mahfil se pasheman utha hai