sakin hai koi aur watan aur kisi ka ye ruh kisi ki hai badan aur kisi ka surkhi hai kaho ki mere har sarw-o-saman mein padhta hai qasida ye chaman aur kisi ka taskin ka bais hai kisi aur ka pahlu ehsas dilati hai chubhan aur kisi ka aaina samajhte hain tujhe sab ye alag baat hai tujh mein magar aaina-pan aur kisi ka ye pyar ka jazba tere kuchh kaam to aae mera nahin banta hai to ban aur kisi ka kahte hain sukhnawar mujhe nisbat se teri sab rahta hai mere lab pe 'sukhan' aur kisi ka