kya shokh-o-shang shai nigah-e-sharmgin bhi hai chilman se jhankti bhi hai chilman-nashin bhi hai ghunche shagufe chhodne wale hain anqarib is ahd-e-khurd-bin mein koi durbin bhi hai apne mizaj hi ke taaqub mein hun hanuz farsh-e-sifal bhi falak-e-chaar mein bhi hai hum aap par na aap karen hum pe e'timad daman ke sath sath yahan aastin bhi hai takiya karam pe kaise karun main ki naz-e-husn nukta-nawaz hai to sahi nukta-chin bhi hai karte ho apne shahr ko kya kya malamaten jis ki kami hai ja ke to dekhun kahin bhi hai deta hai aadmi ko sahaara qadam qadam ek taif-ul-khayal jo hai bhi nahin bhi hai ruposhi-e-sujud mein bhi niyyat-e-numud tapka kalank ka mera dagh-e-jabin bhi hai naql-e-watan bhi kar ke kahan jaiyega aap bandon ki zad pe ab to khuda ki zamin bhi hai apne ko kitne sanp se daswa rahe hain hum mashur hain ki waqt ki nagin hasin bhi hai kya aap jhutpute ko bhi pahchante nahin dasti hai jo sabah wo kya rastin bhi hai jina idhar muhaal hai marna udhar muhaal zahrab bhi wahi hai wahi angbin bhi hai hum tairan-e-arsh ko pichhe se mat pukar mazi ki yaadgar to diwar-e-chin bhi hai shayad janab-e-nuh bhi honge gila-guzar afsana na-tamam dam-e-wapsin bhi hai