har dhadkan haijaani thi har khamoshi tufani thi phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki aasani thi jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main jis din us ka khat aaya hai us din bhi virani thi jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rifaqat hi to nahin tab main ne har shakhs ki surat mushkil se pahchani thi jis din wo milne aai hai us din ki rudad ye hai us ka blouse naranji tha us ki sari dhani thi uljhan si hone lagti thi mujh ko akasr aur wo yun mera mizaj-e-ishq tha shahri us ki wafa dahqani thi ab to us ke bare mein tum jo chaho wo kah dalo wo angdai mere kamre tak to badi ruhani thi nam pe hum qurban the us ke lekin phir ye taur hua us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se badi qurbani thi mujh se bichhad kar bhi wo ladki kitni khush khush rahti hai us ladki ne mujh se bichhad kar mar jaane ki thani thi ishq ki haalat kuchh bhi nahin thi baat badhane ka fan tha lamhe la-fani thahre the qatron ki tughyani thi jis ko khud main ne bhi apni ruh ka irfan samjha tha wo to shayad mere pyase honton ki shaitani thi tha darbar-e-kalan bhi us ka naubat-khana us ka tha thi mere dil ki jo rani amrohe ki rani thi