kahan jate hain aage shahr-e-jaan se ye bal khate hue raste yahan se wahan ab khwab-gahen ban gai hain uthe the aab-dida hum jahan se zamin apni kahani kah rahi hai alag andesha-e-sud-o-ziyan se inhin bante-bigadte daeron mein wo chehra kho gaya hai darmiyan se utha laya hun sare khwab apne teri yaadon ke bosida makan se main apne ghar ki chhat par so raha hun ki baaten kar raha hun aasman se wo in aankhon ki mehrabon mein har shab sitare tank jata hai kahan se 'rasa' is aabna-e-roz-o-shab mein damakte hain kanwal fanus-e-jaan se