har baat pe inkar kare hai but-e-kafir tu shakhs to achchha hai magar tere anasir ai shahr-e-tamanna mein sukunat ke bhikari is shahr mein aabaad nahin koi muhajir khush rahne ki takid na kar waqt hai ab bhi gar man liya main ne kahin tera kaha phir koi bhi mere dukh mein dukhi hota nahin hai dhaaras hi bandha jae gale mil ke ba-zahir jab se meri mahfil se wo ek shakhs utha hai main lakh rahun dil nahin rahta kabhi hazir us shokh tabiat se tujhe aar hai lekin 'shadab' agar nam ka shadab hua phir