surkh sunahri sabz aur dhani hoti hai jhil kinare sham suhani hoti hai khud se jab bhi aankh milani hoti hai aankh to jaise pani pani hoti hai raqs kare aur aankh mein pani bhar aae har ladki thodi diwani hoti hai kitni bojhal hai khiffat ki gathri bhi jo mujh ko har roz uthani hoti hai wo kab bina batae wada tod gaya aankhon se bhi aana-kani hoti hai nani ke chehre ki lakiron ko bunti bachpan ki har sham kahani hoti hai kaise kah dun mujhe mohabbat hai tum se tum se to har baat chhupani hoti hai dil ke darwaze par aahat sunti hun jabhi to aankhon mein hairani hoti hai bhige bhige hont jahan hun shabnam ke wahin kahin par raat ki rani hoti hai roz nigahen sach kah deti hain sara roz mujhe hi baat banani hoti hai tum se mil kar 'sima'-naqwi khud apne hone ki bhi yaad-dahani hoti hai