ranj-o-gham mange hai andoh-o-bala mange hai dil wo mujrim hai ki khud apni saza mange hai chup hai har zakhm-e-gulu chup hai shahidon ka lahu dast-e-qatil hai jo mehnat ka sila mange hai tu bhi ek daulat-e-nayab hai par kya kahiye zindagi aur bhi kuchh tere siwa mange hai khoi khoi ye nigahen ye khamida palken hath uthae koi jis tarah dua mange hai ras ab aaegi ashkon ki na aahon ki faza aaj ka pyar nai aab-o-hawa mange hai bansuri ka koi naghma na sahi chikh sahi har sukut-e-shab-e-gham koi sada mange hai lakh munkir sahi par zauq-e-parastish mera aaj bhi koi sanam koi khuda mange hai sans waise hi zamane ki ruki jati hai wo badan aur bhi kuchh tang qaba mange hai dil har ek haal se begana hua jata hai ab tawajjoh na taghaful na ada mange hai