hadse gham ke shab-o-roz guzarte hi rahe

hadse gham ke shab-o-roz guzarte hi rahe
hum jo karna tha bahar-taur wo karte hi rahe

un se duniya ko numaish ke siwa kuchh na mila
aaina samne rakh kar jo sanwarte hi rahe

haq-parasti ke usulon ka hua hum se farogh
log aaghaz mein anjam se darte hi rahe

kisi qabil to na tha gulshan-e-hasti apna
qafile phir bhi bahaaron ke thaharte hi rahe

zinat-e-mansab-e-ali hue duniya ke haris
aur haqdar bulandi se utarte hi rahe

apni aankhon mein mohabbat ke simat kar jalwe
kuchh is andaz se nikhre ki nikharte hi rahe

umr bhar zauq-e-fan-e-sher raha hum ko 'khaliq'
rang jazbaat ka ashaar mein bharte hi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close