khushbuon ka shahr ujda ghar se be-ghar ho gae baadshahat hath se nikli gadagar ho gae tirgi mein ja pade raushan taqaze subh ke jhut sachche the jabhi logon ko azbar ho gae jitne arse hum rahe khud-sar ana ke zer-e-pa zarre suraj ban gae qatre samundar ho gae tha qusur apna yahi bas aaina shane pe tha chehre kya ubhre sabhi aape se bahar ho gae jaane kis ki bad-dua 'parwez'-rahmani lagi dekhte hi dekhte ahbab patthar ho gae