gunah-e-ishq mein is baat kei taskin hoti hai

gunah-e-ishq mein is baat kei taskin hoti hai
hua ho jurm gahra to saza sangin hoti hai

khule rakhte ho darwaze dariche barha tum kyon
suno duniya tamashon kei badi shauqin hoti hai

safar mein dhup hai to kya udasi odh loge tum
mile sae jo the un ki badi tauhin hoti hai

zara ro lo kahin aansu agar ye sukh jaen to
nahin hain zakhm bharte aur zaban namkin hoti hai

tumhaara laut ke aana hamari khwahish-e-beja
magar bharte hain jab bhi dam dam-e-amin hoti hai

sahaara ban nahin pate bhale khud-gharz kuchh bachche
musibat ho magar in pe to man ghamgin hoti hai

siyasat aur daulat jab siyahi sokh lete hain
kisi ke khun se taswir tab rangin hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close