gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka jo be-gunah tha wo bhi nazar mila na saka tarab hai shewa-e-rindan-e-aqibat-na-shanas jo gul na tha wo gulistan mein muskura na saka bahut khafif thi kaun-o-makan ki jalwagari meri nigah ka gosha bhi jagmaga na saka hawala-e-nigah-e-sharamgin huin aakhir wo bijliyan jo kahin aasman gira na saka badia-kar hai zehn-e-khirad-pasand magar tasawwuraat se taswir-e-gham bana na saka ajab nahin ki gulistan mein pa-ba-gil rah jae wo bad-nasib jo ramz-e-khiram pa na saka jiya wo pak jo rakhta tha khar-e-pairahan jo gul ba-jaib tha daman kabhi bacha na saka 'nushur' nazuki-e-tab-e-sher kya kahiye jahan mein rah ke zamane ke naz utha na saka