gunge labon pe harf-e-tamanna kiya mujhe kis kor-chashm-shab mein sitara kiya mujhe zakhm-e-hunar ko samjhe hue hai gul-e-hunar kis shahr-e-na-sipas mein paida kiya mujhe jab harf-na-shanas yahan lafz-fahm hain kyun zauq-e-sher de ke tamasha kiya mujhe khushbu hai chandni hai lab-e-ju hai aur main kis be-panah raat mein tanha kiya mujhe di tishnagi khuda ne to chashme bhi de diye sine mein dasht aankhon mein dariya kiya mujhe main yun sambhal gai ki teri bewafai ne be-e'tibariyon se shanasa kiya mujhe wo apni ek zat mein kul kaenat tha duniya ke har fareb se milwa diya mujhe auron ke sath mera taaruf bhi jab hua hathon mein hath le ke wo socha kiya mujhe bite dinon ka aks na aainda ka khayal bas khali khali aankhon se dekha kiya mujhe